masala hun main sada se kam-nigahi ke liye
kaun uTThega bhala meri gawahi ke liye
lauT aaya phir se wo tufan sahra ki taraf
shahr mein baqi na tha kuchh bhi tabahi ke liye
aaj bhi main teri aankhon ke jaziron mein panah
DhunDhta phirta hun apni be-panahi ke liye
dil ke dariya mein meri yaadon ki gahrai talak
Dub ke aaega kaun ab KHair-KHwahi ke liye
bolte rahne se ai 'shahzad' kuchh hasil nahin
KHamushi darkar hai is kaj-kulahi ke liye

Ghazal
Masala hun main sada se kam-nigahi ke liye
Shehzad Raza Lams