masafaton mein dhup aur chhanw ka sawal kya
safar hi shart hai to phir uruj kya zawal kya
firaq-saaton ke zaKHm ruh tak pahunch chuke
mayassar aaen bhi to ab masai-e-visal kya
hunar ko dhup jangalon ki muskurahaTon mein hai
gulab bastiyon mein hanste rahne ka kamal kya
umid hi to dil-shajar ki aaKHiri asas thi
shagufa ye bhi ho gaya KHizan se paemal kya
tamam-shahr hi hawa ke dosh par sawar hai
dikhae koi zaKHm kya sunae koi haal kya
Ghazal
Masafaton mein dhup aur chhanw ka sawal kya
Arshad Abdul Hamid

