اردو हिंदी
Masafaten kab guman mein thin safar se aage | Shaahi Shayari
masafaten kab guman mein thin safar se aage

Ghazal

Masafaten kab guman mein thin safar se aage

Jaleel u0027Aaliu0027

;

masafaten kab guman mein thin safar se aage
nikal gae apni dhun mein us ke nagar se aage

shajar se ek umr ki rifaqat ke silsile hain
nigah ab dekhti hai barg o samar se aage

ye dil shab o roz us ki galiyon mein ghumta hai
wo shahr jo bas raha hai dasht-e-nazar se aage

KHajil KHayalon ki bhiD hairat se tak rahi hai
guzar gaya rah-raw-e-tamanna kidhar se aage

tilism-e-aks-o-sada se nikle to dil ne jaana
ye harf kuchh kah rahe hain arz-e-hunar se aage

nisar un saaton pe sadiyon ke sahar 'ali'
jiye hain jin ke jilo mein sham o sahar se aage