masafat-e-umr mein ziyan ka hisab hota hai justuju se
magar main duniya ko dekhta hun charagh aur aaine ki ru se
main us gul-KHwab ki mayyat mein sans lete bhi Dar raha hun
ki shaKH baDhne se beshtar hi na qata ho KHwahish-e-numu se
nashat-e-izhaar par agarche rawa nahin e'tibar karna
magar ye sach hai ki aadmi ka suragh milta hai guftugu se
main ek muddat se is jahan ka asir hun aur sochta hun
ye KHwab TuTega kis qadam par ye rang chhuTega kab lahu se
ye mishal-e-KHwab bhi na 'sajid' kisi sitare ki pesh-rau ho
ki mere sine mein ek gham ne numud pai hai aarzu se
Ghazal
Masafat-e-umr mein ziyan ka hisab hota hai justuju se
Ghulam Husain Sajid