marte dam o bewafa dekha tujhe
ek nazar dekha to kya dekha tujhe
ai pari-ru kyun na main diwana hun
baal khole barha dekha tujhe
nikhat-e-gul bhi na lai ta-qafas
chal hawa ho ai saba dekha tujhe
girya-e-bulbul par us ne hans diya
jis ne ai gulgun-qaba dekha tujhe
did mein har-chand sau nuqsan the
faeda ek ye hua dekha tujhe
halqa-e-gesu hai gardan mein paDa
aap apna mubtala dekha tujhe
kya teri nairangiyan kije bayan
sab mein aur sab se juda dekha tujhe
barq-e-afat aaj hi hum par giri
warna hanste barha dekha tujhe
aaj tak ai bekasi chhoDa na sath
ek sabit aashna dekha tujhe
Ùduzdi-e-dil ka yaqin ho kis tarah
kis ne ai duzd-e-hina dekha tujhe
hum ne 'ghafil' but-kade mein dahr ke
ek mard-e-ba-KHuda dekha tujhe
Ghazal
Marte dam o bewafa dekha tujhe
Munawar Khan Ghafil

