marne ka sukh jine ki aasani de
andata kaisa hai aag na pani de
is dharti par hariyali ki jot jaga
kale megha pani de gardani de
band aflak ki diwaron mein rauzan kar
koi to manzar mujh ko imkani de
mere dil par khol kitabon ke asrar
meri aankh ko apni saf nishani de
arz o sama ke pas-manzar se samne aa
dil ko yaqin de aankhon ko hairani de
mere hone mere na hone mein kya hai
maut ko mafhum is hasti ko maani de
barakat de din pherne wali duaon ko
raat ko koi KHush-tabir kahani de
TuTti rahti hai kachche dhage si nind
aankhon ko ThanDak KHwabon ko girani de
mujh ko jahan ke saton sukh dene wale
dena hai to koi daulat la-fani de
tujh se juda ho kar to main mar jaunga
mujh ko apna sar ai dost nishani de
ek ek patthar rah ka 'zeb' haTata chal
pichhe aane walon ko aasani de
Ghazal
Marne ka sukh jine ki aasani de
Zeb Ghauri