marne ka pata de mere jine ka pata de
ai be-KHabari kuchh mere hone ka pata de
ek dusre ki aahaTon pe chalte hain sab log
hai koi yahan jo mujhe raste ka pata de
KHud aap se bichhDa hun main is andhe safar mein
ai tirgi-e-shab mere sae ka pata de
is aas pe har aaine ko joD raha hun
shayad koi reza mere chehre ka pata de
guzri hai meri umr sarabon ke safar mein
ai reg-e-rawan ab kisi chashme ka pata de
har pal kisi aahaT pe mere kan lage hain
jaise abhi koi tere aane ka pata de
bikhra hua hun sadiyon ki be-ant tahon mein
mujh ko koi khoe hue lamhe ka pata de
dahliz dilasa hai na diwar aman hai
ai dar-badri mere Thikane ka pata de
hun qaid hisar-e-rag-e-girdab mein 'sarmad'
koi nahin jo mujh ko kinare ka pata de
Ghazal
Marne ka pata de mere jine ka pata de
Sarmad Sahbai