اردو हिंदी
Marhale saKHt imtihan ke hain | Shaahi Shayari
marhale saKHt imtihan ke hain

Ghazal

Marhale saKHt imtihan ke hain

Mahshar Badayuni

;

marhale saKHt imtihan ke hain
chal paDe hum bhi sina tan ke hain

aasman zer-e-par hain jo tair
meri hi sath ki uDan ke hain

mushtail rahne den inhen ki bujhaen
ye charagh apne hi makan ke hain

kaun kahta hai shab ko shab na kaho
kuchh qarine bhi to zaban ke hain

aadmi ab kahan zamin pe rahe
sab farishte hi aasman ke hain

jin ke shab-KHun se hai dukhi ye zamin
jaane wo log kis jahan ke hain

zad pe hum hain to zad pe tum bhi ho
tir hum bhi kaDi kaman ke hain