marhaba tum bhi zarurat se mile 
kaun hai ab jo mohabbat se mile 
zindagi ne jo diye hum ko sabaq 
wo kahan pand-o-nasihat se mile 
dil milane se bhala kya hasil 
jab tabiat na tabiat se mile 
hae wo shahr-e-aman jis mein hum 
rose ek taza qayamat se mile 
ye jo palkon pe saje hain moti 
sab hamein us dar-e-daulat se mile 
kaun hoga wo ba-juz aaina 
shakl jis ki teri surat se mile 
aaj phenki gai hum par kuchh KHak 
aaj hum apni haqiqat se mile 
hum ne samjha hai unhen pyar ke phul 
zaKHm jo sang-e-malamat se mile 
the wo ujlat mein gae ye kah kar 
jis ko fursat ho wo fursat se mile
        Ghazal
Marhaba tum bhi zarurat se mile
Mahtab Alam

