اردو हिंदी
Marg-e-ashiq par farishta maut ka badnam tha | Shaahi Shayari
marg-e-ashiq par farishta maut ka badnam tha

Ghazal

Marg-e-ashiq par farishta maut ka badnam tha

Manzar Lakhnavi

;

marg-e-ashiq par farishta maut ka badnam tha
wo hansi roke hue baiTha tha jis ka kaam tha

KHun-e-nahaq se mukarne ka kahan hangam tha
tir jitne dil se nikle sab par un ka nam tha

kya batai jaen sham-e-hijr ki majburiyan
dil hamara tha na hum dil ke ajab hangam tha

hijr ki do karwaTon ne kar diya qissa tamam
dard-e-dil aaghaz tha dard-e-jigar anjam tha

aise waqton mein kaleja gham se ho jata hai shaq
sabr apne dil ki mayyat par hamara kaam tha

ahl-e-mahshar dekh lun qatil ko to pahchan lun
bholi bholi shakl thi aur kuchh bhala sa sam tha

ab koi diwana kahta hai koi wahshi mujhe
aap ki ulfat se pahle mera 'manzar' nam tha