mar ke TuTa hai kahin silsila-e-qaid-e-hayat
magar itna hai ki zanjir badal jati hai
asar-e-ishq taghaful bhi hai bedad bhi hai
wahi taqsir hai tazir badal jati hai
kahte kahte mera afsana gila hota hai
dekhte dekhte taqdir badal jati hai
roz hai dard-e-mohabbat ka nirala andaz
roz dil mein teri taswir badal jati hai
ghar mein rahta hai tere dam se ujala hi kuchh aur
mah o KHurshid ki tanwir badal jati hai
gham nasibon mein hai 'fani' gham-e-duniya ho ki ishq
dil ki taqdir se tadbir badal jati hai
Ghazal
Mar ke TuTa hai kahin silsila-e-qaid-e-hayat
Fani Badayuni