اردو हिंदी
Mar bhi jaun to kahan log bhula hi denge | Shaahi Shayari
mar bhi jaun to kahan log bhula hi denge

Ghazal

Mar bhi jaun to kahan log bhula hi denge

Parveen Shakir

;

mar bhi jaun to kahan log bhula hi denge
lafz mere mere hone ki gawahi denge

log tharra gae jis waqt munadi aai
aaj paigham naya zill-e-ilahi denge

jhonke kuchh aaise thapakte hain gulon ke ruKHsar
jaise is bar to pat-jhaD se bacha hi denge

hum wo shab-zad ki suraj ki inayat mein bhi
apne bachchon ko faqat kor-nigahi denge

aastin sanpon ki pahnenge gale mein mala
ahl-e-kufa ko nai shahr-panahi denge

shahr ki chabiyan aada ke hawale kar ke
tohfatan phir unhen maqtul sipahi denge