maqsad hasil nahin ho ya ho
jo hona hai jald ai KHuda ho
ulfat hai pas-e-waza ka nam
marte mar jao par nibaho
dil mein nahin KHub mail rakhna
jo shikwa gila ho barmala ho
kya hota hai farsh boriya se
lazim hai ki qalb be-riya ho
ek jam hi to pila de lillah
ai pir-e-mughan tera bhala ho
darkar use madad hai kis ki
jis ko allah ka aasra ho
us dil ki jalan jo dekh pae
sham-e-sozan charagh-pa ho
kya aur bhala kahun main tum ko
tum hazrat-e-ishq bad-bala ho
kahne ko to kah gae ho sab kuchh
ab koi jawab de to kya ho
dil zist se sard ho gaya hai
ai soz-e-jigar tera bura ho
be-aib koi nahin hai 'kaifi'
gar ho to wo zat-e-kibriya ho
Ghazal
Maqsad hasil nahin ho ya ho
Dattatriya Kaifi

