maqsad-e-husn hai kya chashm-e-basirat ke siwa
wajh-e-taKHliq-e-bashar kya hai mohabbat ke siwa
KHun-e-dil thukte phirte hain jahan mein shair
kya mila shahr-e-suKHan mein unhen shohrat ke siwa
aaj bhi ilm-o-fan-o-sher-o-adab hain pamal
ba-kamalon ko mila kuchh na ihanat ke siwa
hath mein jin ke KHushamad ka hai gadla kashkol
un ko eazaz bhi mil jaenge izzat ke siwa
raat din ranj hai is baat ka sab ko KHaliq
arsa-e-hashr mein kya laen nadamat ke siwa
ye mashinon ki chaka-chaund ye daur-e-alat
is mein har chiz muqaddar hai murawwat ke siwa
ghota-zan hum rahe kasrat ke samundar mein fuzul
kaun ye pyas bujhae teri wahdat ke siwa
kya zamane mein diya tu ne aqidat ka maal
hum ko ranj-o-gham-o-andoh-o-musibat ke siwa
hum jo apnaen zamane mein tawakkul yarab
bab khul jaenge hum par teri rahmat ke siwa
jab utarti hon sar-e-arsh se aayat-e-junun
kaun ho KHaliq-e-ashaar mashiyyat ke siwa
kitne hatim mile 'gulzar' zamane mein hamein
wo ki har chiz ke wasif the saKHawat ke siwa
Ghazal
Maqsad-e-husn hai kya chashm-e-basirat ke siwa
Gulzar Dehlvi