maqam-e-shauq se aage bhi ek rasta nikalta hai
kahen kya silsila dil ka kahan par ja nikalta hai
mizha tak aata jata hai badan ka sab lahu khinch kar
kabhi kya is tarah bhi yaad ka kanTa nikalta hai
dukan-e-dil baDhate hain hisab-e-besh-o-kam kar lo
hamare nam par jis jis ka bhi jitna nikalta hai
abhi hai husn mein husn-e-nazar ki kar-farmai
abhi se kya bataen hum ki wo kaisa nikalta hai
miyan-e-shahr hain ya aainon ke ru-ba-ru hain hum
jise bhi dekhte hain kuchh hamin jaisa nikalta hai
ye dil kyun Dub jata hai usi se puchh lunga main
sitara sham-e-hijran ka idhar bhi aa nikalta hai
dil-e-muztar wafa ke bab mein ye jald-bazi kya
zara ruk jaen aur dekhen natija kya nikalta hai
Ghazal
Maqam-e-shauq se aage bhi ek rasta nikalta hai
Aftab Hussain