maqam-e-nur ho kar rah gaya hai
wo hum se dur ho kar rah gaya hai
charagh-e-dil bujha to tan-badan mein
dhuan mahsur ho kar rah gaya hai
KHudi mein be-KHudi ko chhu liya tha
nasha kafur ho kar rah gaya hai
hawa ghere hue hai taq-e-shab ko
diya mazur ho kar rah gaya hai
jo tara KHak se hona tha zahir
wahi mastur ho kar rah gaya hai
ye dil had se guzarna chahta tha
magar majbur ho kar rah gaya hai
mera gham teri tariKH-e-karam mein
faqat mazkur ho kar rah gaya hai
unhi hathon se banna aur miTna
yahi dastur ho kar rah gaya hai
Ghazal
Maqam-e-nur ho kar rah gaya hai
Khaavar Ejaz