manzilon ke nishan nahin milte
tum agar na-gahan nahin milte
aashiyane ka ranj kaun kare
chaar tinke kahan nahin milte
dastanen hazar milti hain
sahib-e-dastan nahin milte
yun na milne ke sau bahane hain
milne wale kahan nahin milte
inqilab-e-jahan are tauba
hum jahan the wahan nahin milte
doston ki kami nahin hamdam
aise dushman kahan nahin milte
jin ko manzil salam karti thi
aaj wo karwan nahin milte
shaKH-e-gul par jo jhumte the 'qamar'
aaj wo aashiyan nahin milte
Ghazal
Manzilon ke nishan nahin milte
Qamar Moradabadi