manzilen na bhulenge rah-rau bhaTakne se
shauq ko talluq hi kab hai panw thakne se
zindagi ke rishte bhi dur dur tak nikle
ruh jag uThti hai phul ke mahakne se
kitne tir khae hain kitne gham uThae hain
baz hi nahin aata dil magar dhaDakne se
ek saghar-e-labrez aur surat-e-suqraat
jawedan nahin hote sirf zahr chakhne se
kar-e-ashiyan-bandi aur ho gaya mahbub
jauhar-e-talab chamka bijliyan kaDakne se
garm ho ke pachhtae baad-e-tund ke jhonke
raushni charaghon ki baDh gai bhaDakne se
ai adib-e-pur-goi farz to nahin koi
kya bari hai KHamoshi ol-fol bakne se
Ghazal
Manzilen na bhulenge rah-rau bhaTakne se
Adeeb Saharanpuri