manzil pe na pahunche use rasta nahin kahte 
do chaar qadam chalne ko chalna nahin kahte 
ek hum hain ki ghairon ko bhi kah dete hain apna 
ek tum ho ki apnon ko bhi apna nahin kahte 
kam-himmati KHatra hai samundar ke safar mein 
tufan ko hum dosto KHatra nahin kahte 
ban jae agar baat to sab kahte hain kya kya 
aur baat bigaD jae to kya kya nahin kahte
        Ghazal
Manzil pe na pahunche use rasta nahin kahte
Nawaz Deobandi

