اردو हिंदी
Manzil ki dhum dham se jab ji uchaT gaya | Shaahi Shayari
manzil ki dhum dham se jab ji uchaT gaya

Ghazal

Manzil ki dhum dham se jab ji uchaT gaya

Kalidas Gupta Raza

;

manzil ki dhum dham se jab ji uchaT gaya
rah-gir jaise sainkaDon raston mein baT gaya

afsos dil tak aane ki rahen na khul sakin
koi faqat KHayal tak aa kar palaT gaya

hum taul baiThe subh-dam insan ko sae se
suraj ke sar pe aate hi saya simaT gaya

kya jaane kis chaTan se Takra gaya hai dil
chalta hua safina achanak ulaT gaya

ab koi DhunD-DhanD ke lao naya wajud
insan to bulandi-e-insan se ghaT gaya

manzil pe gard-e-wahm-o-guman thi wo dhul gai
raste mein aql o hosh ka patthar tha haT gaya

mahfil bhi nur-bar hai saqi bhi KHum ba-dosh
mere hi naw nosh ka meyar ghaT gaya

manzil kahin mili na mili lekin ai 'raza'
manzil ke ishtiyaq mein rasta to kaT gaya