manzil jo main ne pai to shashdar bhi main hi tha
wo is liye ki rah ka patthar bhi main hi tha
shak ho chala tha mujh ko KHud apni hi zat par
jhanka to apne KHol ke andar bhi main hi tha
honge mere wajud ke sae alag alag
warna barun-e-dar bhi pas-e-dar bhi main hi tha
puchh us se jo rawana hue kaT kar mujhe
rah-e-wafa mein shaKH-e-sanobar bhi main hi tha
aasuda jis qadar wo hua mujh ko oDh kar
kal raat us ke jism ki chadar bhi main hi tha
mujh ko Dara rahi thi zamane ki ham-sari
dekha to apne qad ke barabar bhi main hi tha
aaina dekhne pe jo nadim hua 'qatil'
mulk-e-zamir ka wo sikandar bhi main hi tha
Ghazal
Manzil jo maine pai to shashdar bhi main hi tha
Qateel Shifai