manzil-e-yar be-nishan bhi nahin
dil ho ghafil to raaz-dan bhi nahin
barq kyun be-qarar hai itna
ab to gulshan mein aashiyan bhi nahin
ho nazar mein agar haqiqat-e-husn
zindagi sada dastan bhi nahin
wo jafaon pe sharmsar na hon
ab ye manzil mujhe garan bhi nahin
yar ki justuju ko kya kahiye
raegan bhi hai raegan bhi nahin
dil tak aae to wajh-e-taskin ho
wo nazar itni mehrban bhi nahin
allah allah surur-e-yaad-e-habib
ab mujhe hijr ka guman bhi nahin
lab tak aa jae to qayamat hai
aashiqi kar-e-be-fughan bhi nahin
azmat-e-husn ishq se hai 'rais'
sar nahin hai to aastan bhi nahin
Ghazal
Manzil-e-yar be-nishan bhi nahin
Raees Niyazi

