manzaron ke darmiyan manzar banana chahiye
rahnaward-e-shauq ko rasta dikhana chahiye
apne sare raste andar ki jaanib moD kar
manzilon ka ek nishan bahar banana chahiye
sochna ye hai ki us ki justuju hone talak
sath apne KHud rahen hum ya zamana chahiye
teri meri dastan itni zaruri to nahin
duniya ko kahne ki KHatir bas fasana chahiye
phul ki patti pe likkhun nazm jaisi ek dua
hath uThane ke liye mujh ko bahana chahiye
wasl ki koi nishani hijr ke baham rahe
ab ke sada hath par mehndi lagana chahiye
phul KHushbu rang jugnu raushni ke waste
ghar ki diwaron mein ek rauzan banana chahiye
sham ko wapas palaTte taeron ko dekh kar
sochti hun lauT kar ab ghar bhi jaana chahiye
Ghazal
Manzaron ke darmiyan manzar banana chahiye
Bushra Ejaz