manzar se udhar KHwab ki paspai se aage
main dekh raha hun had-e-binai se aage
ye 'qais' ki masnad hai so zeba hai usi ko
hai ishq sarasar meri danai se aage
shayad mere ajdad ko malum nahin tha
ek bagh hai is dasht ki ranai se aage
sab dekh rahi thi pas-e-diwar tha jo kuchh
thi chashm-e-tamashai tamashai se aage
hum qafiya-paimai ke chakkar mein paDe hain
hai sinf-e-ghazal qafiya-paimai se aage
ek din jo yunhi parda-e-aflak uThaya
barpa tha tamasha koi tanhai se aage
mujh kaghzi kashti pe nazar kijiye 'azar'
baDhti hai jo lahron ki tawanai se aage
Ghazal
Manzar se udhar KHwab ki paspai se aage
Dilawar Ali Aazar