manzar mein agar kuchh bhi dikhai nahin dega
koi bhi tere haq mein safai nahin dega
wo chand jo utra hai kisi aur ke ghar mein
mujh ko to andheron se rihai nahin dega
KHud apni zabanon se lahu chaTne walo
zalim tu sitam kar ke duhai nahin dega
sahmi hai samaat ki koi lafz hi gunje
ek shor ki phir kuchh bhi sunai nahin dega
dahliz ke us par bhi pahunchega bil-aKHir
kab tak ye lahu us ko dikhai nahin dega
jo shaKHs kamaega wahi khaega 'nasir'
auron ko koi apni kamai nahin dega
Ghazal
Manzar mein agar kuchh bhi dikhai nahin dega
Hasan Nasir