اردو हिंदी
Manzar ajab tha ashkon ko roka nahin gaya | Shaahi Shayari
manzar ajab tha ashkon ko roka nahin gaya

Ghazal

Manzar ajab tha ashkon ko roka nahin gaya

Farooq Shafaq

;

manzar ajab tha ashkon ko roka nahin gaya
hansta hua jo aaya tha hansta nahin gaya

ek bar yun hi dekh liya tha use kahin
phir us ke baad shahr mein dekha nahin gaya

thi jis ke dam se raunaq-e-mahfil hama-hami
dawat mein us gharib ko puchha nahin gaya

sari KHudai KHud hi khinchi jati thi udhar
main KHud wahan gaya mujhe bheja nahin gaya

jo kuchh na dekhta tha 'shafaq' dekhna paDa
ghar le ke mujh ko sham ko rasta nahin gaya