mamta bhari nigah ne roka to Dar laga
jab bhi shikar zin se bandha to Dar laga
tanha fasil-e-shahr pe baiThi hui thi sham
jab dhundlakon ne shor machaya to Dar laga
apne saron pe pagDiyan bandhe hue the lafz
mazmun jab naya koi bandha to Dar laga
bujhte hue alao mein aatish-fishan bhi the
kohram ratjagon ne machaya to Dar laga
ab daldali zamin bhi to ham-safar nahin
dasht-e-sarab-e-sang se guzra to Dar laga
viran saaton ke the ye aaKHiri nuqush
be-samtiyon ne hum ko bataya to Dar laga
aasudgi ne thapkiyan de kar sula diya
ghar ki zaruraton ne jagaya to Dar laga
ai 'rind' uljhanon si rahi be-karan si soch
fikr-e-suKHan mein dard jo ubhra to Dar laga
Ghazal
Mamta-bhari nigah ne roka to Dar laga
P P Srivastava Rind