mamnun hi raha us but-e-kafir ki jafa ka
shikwa na kiya dil ne kabhu shukr KHuda ka
aaza ke tanasub ka na warafta ho itna
aankhen hain to rah hairati andaz o ada ka
har dam hai hadaf nawak-e-bedad ka teri
patthar ka kaleja hai magar ahl-e-wafa ka
tabut hi dekha na mera aankh uTha kar
kya sharm hai kushta hun main us sharm o haya ka
pas us ke bana dijo meri aankh bhi naqqash
gar khinche hai tu naqsh-e-ruKH us hur-liqa ka
kis tarah main ab sar pe bhala KHak na Dalun
dekhun hun nishan dar pe teri sad kaf-e-pa ka
kis bekasi ki marg hai 'rasiKH' ka bhi marna
nash us ki pe koi na hua mahw aza ka
Ghazal
Mamnun hi raha us but-e-kafir ki jafa ka
Rasikh Azimabadi