maktabon mein kahin ranai-e-afkar bhi hai
KHanqahon mein kahin lazzat-e-asrar bhi hai
manzil-e-rah-rawan dur bhi dushwar bhi hai
koi is qafile mein qafila-salar bhi hai
baDh ke KHaibar se hai ye marka-e-din-o-watan
is zamane mein koi haidar-e-karrar bhi hai
ilm ki had se pare banda-e-momin ke liye
lazzat-e-shauq bhi hai nemat-e-didar bhi hai
pir-e-mai-KHana ye kahta hai ki aiwan-e-farang
sust-buniyaad bhi hai aaina-diwar bhi hai
Ghazal
Maktabon mein kahin ranai-e-afkar bhi hai
Allama Iqbal