makka gaya madina gaya karbala gaya
jaisa gaya tha waisa hi chal phir ke aa gaya
dekha ho kuchh us aamad-o-shud mein to main kahun
KHud gum hua hun baat ki tah ab jo pa gaya
kapDe gale ke mere na hon aab-dida kyun
manind-e-abr-e-dida-e-tar ab to chha gaya
jaan-soz aah o nala samajhta nahin hun main
yak shola mere dil se uTha tha jala gaya
wo mujh se bhagta hi phira kibr-o-naz se
jun jun niyaz kar ke main us se laga gaya
jor-e-siphar-e-dun se bura haal tha bahut
main sharm-e-na-kasi se zamin mein sama gaya
dekha jo rah jate tabaKHtur ke sath use
phir mujh shikasta-pa se na ik-dam raha gaya
baiTha to boriye ke tain sar pe rakh ke 'mir'
saf kis adab se hum fuqara ki uTha gaya
Ghazal
Makka gaya madina gaya karbala gaya
Mir Taqi Mir