maKHmali KHwab ka aankhon mein na manzar phaila
zahr hi zahr mere jism ke andar phaila
sabz mausam mein bhi ho jis ki shabahat pili
is chaman mein kahin shoale kahin patthar phaila
KHaufnaki asar-andaz hua karti hai
is ko aKHbar ki manind na ghar ghar phaila
ho ye mumkin to mere jism ke andar bhi utar
reza reza mujhe har samt barabar phaila
iKHtiraat ke bais hi jahan mein ab tak
nae ehsas ka be-payan samundar phaila
wajh-e-taklif na ban jae KHala ki KHwahish
ab uDanon ke liye par na kabutar phaila
lakh suraj ki inayat rahen mere sath
mera saya na mere qad ke barabar phaila
Ghazal
MaKHmali KHwab ka aankhon mein na manzar phaila
Anwar Minai