اردو हिंदी
MaKHfi hain abhi dirham-o-dinar hamare | Shaahi Shayari
maKHfi hain abhi dirham-o-dinar hamare

Ghazal

MaKHfi hain abhi dirham-o-dinar hamare

Dilawar Ali Aazar

;

maKHfi hain abhi dirham-o-dinar hamare
miTTi se nikal aaenge ashjar hamare

alfaz se khinchi gai taswir-e-do-alam
aawaz mein rakkhe gae aasar hamare

zangar kiya jata hai aaina-e-taKHliq
aur naqsh chale jate hain bekar hamare

kuchh zaKHm dikha sakta hai ye rauzan-e-diwar
kuchh bhed bata sakti hai diwar hamare

kyun chaar anasir rahen paband-e-shab-o-roz
aazad kiye jaen giraftar hamare

kyun sham se viran kiya jata hai hum ko
kyun band kiye jate hain bazar hamare

kya aap se ab saKHti-e-be-ja ki shikayat
jab aap hue malik-o-muKHtar hamare

tahsin-talab rahte hain ta-umr ki 'azar'
paida hi nahin hote taraf-dar hamare