makan soe hue the abhi ki dar jage
thakan miTi bhi na thi aur nae safar jage
jo din chaDha to hamein nind ki zarurat thi
sahar ki aas mein hum log raat bhar jage
jakaD rakha tha faza ko hamare naron ne
jo lab KHamosh hue to dilon mein Dar jage
hamein Daraegi kya raat KHud hai sahmi hui
badan to jagte rahte the ab ke sar jage
uThao hath ki waqt-e-qubuliyat hai yahi
dua karo ki duaon mein ab asar jage
Ghazal
Makan soe hue the abhi ki dar jage
Javaid Anwar