majaz ain-e-haqiqat hai ba-safa ke liye
buton ko dekh raha hun magar KHuda ke liye
asar mein ho gae kyun sat aasman hael
abhi to hath uThe hi nahin dua ke liye
hua bas ek hi nale mein dam fana apna
ye taziyana tha umr-e-gurez-pa ke liye
ilahi ek gham-e-rozgar kya kam tha
ki ishq bhej diya jaan-e-mubtala ke liye
hamein to dawar-e-mahshar ko chhoDte hi bani
KHata-e-ishq na kafi hui saza ke liye
usi ko rah dikhata hun jo miTae mujhe
main hun to nur magar chashm-e-naqsh-e-pa ke liye
ye jaanta hun ki hai nisf shab magar saqi
zara si chahiye ek mard-e-parsa ke liye
ilahi tere karam se mile mai o mashuq
ab iltija hai barasti hui ghaTa ke liye
'hafiz' aazim-e-kaba hua hai jaane do
ab us pe rahm karo ai buto KHuda ke liye
Ghazal
Majaz ain-e-haqiqat hai ba-safa ke liye
Hafeez Jalandhari