اردو हिंदी
Main zindagi ka sath nibhata chala gaya | Shaahi Shayari
main zindagi ka sath nibhata chala gaya

Ghazal

Main zindagi ka sath nibhata chala gaya

Sahir Ludhianvi

;

main zindagi ka sath nibhata chala gaya
har fikr ko dhuen mein uData chala gaya

barbaadiyon ka sog manana fuzul tha
barbaadiyon ka jashn manata chala gaya

jo mil gaya usi ko muqaddar samajh liya
jo kho gaya main us ko bhulata chala gaya

gham aur KHushi mein farq na mahsus ho jahan
main dil ko us maqam pe lata chala gaya