اردو हिंदी
Main zindagi ka naqsha tartib de raha hun | Shaahi Shayari
main zindagi ka naqsha tartib de raha hun

Ghazal

Main zindagi ka naqsha tartib de raha hun

Zafar Hameedi

;

main zindagi ka naqsha tartib de raha hun
phir ek jadid KHaka tartib de raha hun

har saz ka tarannum yaksaniyat-numa hai
ek taza-kar naghma tartib de raha hun

jis mein teri tajalli KHud aa ke ja-guzin ho
dil mein ek aisa gosha tartib de raha hun

lamhon ke silsile mein jita raha hun lekin
main apna KHas lamha tartib de raha hun

kitne ajib qisse likkhe gae abhi tak
main bhi anokha qissa tartib de raha hun

zarron ka hai ye tufan be-chehragi ba-daman
zarron se ek chehra tartib de raha hun

duniya ke sare rishte be-mani lag rahe hain
KHaliq se apna rishta tartib de raha hun

pur-pech raston par chalta hua 'zafar' main
sidha sa ek rasta tartib de raha hun