main zaKHm zaKHm rahun ruh ke KHarabon se
tu jism jism dahakta rahe gulabon se
kisi ki chaal ne nashshe ka ras kashid kiya
kisi ka jism tarasha gaya sharabon se
saba ka hath hai aur hai tere gudaz ka lams
main jagta hi rahun garm garm KHwabon se
qadam qadam hai chaka-chaund chahaton ka charagh
main shahr-e-aina jalta hun aaftabon se
'ata' badan ki ye karwaT bhi nim-shab kya thi
tamam umr ujalta hun inqilabon se
Ghazal
Main zaKHm zaKHm rahun ruh ke KHarabon se
Ata Shad