main yunhi TuTta bikharta hun
rose jita hun rose marta hun
dasht-o-dariya ghubar karta hun
main hawa hun kahan Thaharta hun
pichhe muD kar kabhi nahin dekha
main hawaon se baat karta hun
barg-o-gul titliyan salamat sab
sar qalam KHushbuon ke karta hun
rose naqsha bana ke duniya ka
rang-e-amn-o-sukun bharta hun
dil ki rahon mein qainchiyan rakh din
teri yaadon ke par katarta hun
logo har-su salib-o-dar rakho
aasman se abhi utarta hun
chandni sae raqs taj-mahal
KHwab aankhon mein rome bharta hun
rasta panw pakaDne lagta hai
jab tere dil se main guzarta hun
Ghazal
Main yunhi TuTta bikharta hun
Muneer Saifi

