اردو हिंदी
Main yahan shor kis liye karta | Shaahi Shayari
main yahan shor kis liye karta

Ghazal

Main yahan shor kis liye karta

Jafar Sahni

;

main yahan shor kis liye karta
dhar liya jaunga ye imkan tha

dekhiye ruKH hawa ka kab Thahre
aa gaya le ke wo diya jalta

peD paude to KHauf khate hain
ghas par us ka bas nahin chalta

uD gaya aaKHirash main kamre se
kab tilak jite-ji yahan marta

mere andar jo DhunDhta tha mujhe
us se kaT kar main mil chuka kab ka

KHwab de kar ye phul laya hun
kahiye mahnga mila hai ya sasta

id ka din to hai magar 'jafar'
mein akele to hans nahin sakta