main wo aatish-e-nafas hun aag abhi
KHirman-e-barq mein laga dunga
ruTho mujh se na wo bala hun main
roni surat ko bhi hansa dunga
tu uThae jo KHanjar-e-pur-KHam
gardan apni wahin jhuka dunga
aah se arsh ko hila dunga
kungar-e-charKH ko jhuka dunga
na chalo mujh se tum raqibon chaal
ungliyon par tumhein nacha dunga
waqt rone ke aah-e-sozan se
daman-e-abr ko jala dunga
aage mere na sheKHi mar ai shaiKH
raat ka majra suna dunga
aah ko meri be-asar na kaho
main tamasha abhi dikha dunga
tum jo har rose kahte ho mar-mar
ek din mar ke bhi dikha dunga
dusre ko jo doge dil mein bhi
dil ke naqsh-e-wafa miTa dunga
shaiKH chal to sharab-KHane mein
main tujhe aadmi bana dunga
'mashriqi' de agar wo jam-e-sharab
dil se gham main abhi miTa dunga

Ghazal
Main wo aatish-e-nafas hun aag abhi
Sardar Genda Singh Mashriqi