main wo aansu ki jo mala mein piroya jae
tu wo moti ki jise dekh ke roya jae
bahr ko bahr na samjhe to KHatawar bane
ab taqaza hai safine ko Duboya jae
ye baja hai ki amanat mein KHayanat na karo
ehtiyatan hi sahi zaKHm ko dhoya jae
thak gae nazron ke panw bhi siyah jangal mein
ab zara der Thahar jao ki soya jae
aaj ki raat ba-har-haal na sona 'shahid'
har ghaDi aankh mein ek KHar chubhoya jae

Ghazal
Main wo aansu ki jo mala mein piroya jae
Saleem Shahid