main wahan hun ki nahin chahe to ja kar dekhe
kuza-gar KHud meri miTTi mein sama kar dekhe
baad mein rakhe sarabon ke dayaron mein qadam
pahle wo sans ki sarhad pe to aa kar dekhe
mere izhaar ko kuchh aur samar-war kar de
wo mujhe lams ki shaKHon pe uga kar dekhe
gunj uTThe koi khoi hui duniya shayad
mere KHaliyon mein wo aawaz laga kar dekhe
dekhen phir raqs mein aate hain bhanwar kitne 'riyaz'
koi pani pe mera nam baha kar dekhe
Ghazal
Main wahan hun ki nahin chahe to ja kar dekhe
Riyaz Latif