اردو हिंदी
Main use sochta raha yani | Shaahi Shayari
main use sochta raha yani

Ghazal

Main use sochta raha yani

Idris Babar

;

main use sochta raha yani
wo mera KHwab hai KHuda yani

hijr se hijr tak thi ye hijrat
wo mila yani kho gaya yani

gardish-e-mehr-o-mah ka hasil
yani mera wajud la-yani

dil kahan shahsawar-e-duniya tha
so gira gir ke mar gaya yani

to mujhe us ka nam bhul gaya
ho gaya main bhi lapata yani

kaam ki baat puchhte kya ho
kuchh hua kuchh nahin hua yani

chalte rahiye to sukh jaega
ye samundar ye aabla yani

yani tum se to main mila hi nahin
wo koi aur shaKHs tha yani

koi aawaz TuTne ki nahin
dil mein ek baat hai KHala yani

us ko KHush dekh kar wahan 'babar'
main bhi KHush tha udas tha yani