main us ko bhul gaya tha wo yaad sa aaya
zamin hili to main samjha ki zalzala aaya
phir is ke baad kai raste kai ghar the
wo moD tak mujhe ruk ruk ke dekhta aaya
main us ko DhunDne nikla to mere jaane ke baad
gali gali mujhe ghar tak wo puchhta aaya
juda hue to zaman o makan ke buad ke sath
jo rah mein tha dilon mein wo fasla aaya
main aaina to nahin hun pa ek soch mein hun
tu KHud-numai ke jauhar kahan chhupa aaya
'salim' tark-e-rah-o-rasm tark-e-ishq nahin
jidhar se guzre udhar us ka rasta aaya

Ghazal
Main usko bhul gaya tha wo yaad sa aaya
Saleem Ahmed