اردو हिंदी
Main tumko bhul bhi sakta hun is jahan ke liye | Shaahi Shayari
main tumko bhul bhi sakta hun is jahan ke liye

Ghazal

Main tumko bhul bhi sakta hun is jahan ke liye

Bashir Badr

;

main tum ko bhul bhi sakta hun is jahan ke liye
zara sa jhuT zarur hai dastan ke liye

mere labon pe koi bund Tapki aansu ki
ye qatra kafi tha jalte hue makan ke liye

main kya dikhaun mere tar tar daman mein
na kuchh yahan ke liye hai na kuchh wahan ke liye

ghazal bhi is tarah us ke huzur laya hun
ki jaise bachcha koi aae imtihan ke liye