اردو हिंदी
Main to tanha tha magar tujhko bhi tanha dekha | Shaahi Shayari
main to tanha tha magar tujhko bhi tanha dekha

Ghazal

Main to tanha tha magar tujhko bhi tanha dekha

Jameel Malik

;

main to tanha tha magar tujh ko bhi tanha dekha
apni taswir ke pichhe tera chehra dekha

jis ki KHushbu se mahak jae shabistan-e-visal
dosto tum ne kabhi wo gul-e-sahra dekha

ajnabi ban ke mile dil mein utarta jae
shahr mein koi bhi tujh sa na shanasa dekha

ab to bas ek hi KHwahish hai ki tujh ko dekhen
sari duniya mein phire aur na kya kya dekha

koi surat bhi shanasa nazar aai na hamein
ghar se nikle to ajab shahr ka naqsha dekha

is qadar dhup thi sanwla gae raKHshan chehre
jalte suraj ka magar rang bhi pila dekha

peD ka dukh to koi puchhne wala hi na tha
apni hi aag mein jalta hua saya dekha

the andheron ke taaqub mein ujale kya kya
KHud tamasha the 'jamil' aur tamasha dekha