main to soya bhi na tha kyun ye dar-e-KHwab gira
meri aaghosh mein bujhta hua mahtab gira
phir samundar ki taraf lauT chali mauj-ba-mauj
phir koi tishna-dahan aa ke sar-e-ab gira
aks mismar na kar dida-e-hairan ke sarishk
mere KHwabon ke dar-o-baam na sailab gira
DhunD sipi ki tarah dil ko na sahil ke qarib
ye sadaf dur bahut dur tah-e-ab gira
aahan o sang ko zahrab-e-fana chaT gaya
pahle diwar shikasta hui phir bab gira
Ghazal
Main to soya bhi na tha kyun ye dar-e-KHwab gira
Ahmad Azeem