main to maqtal mein bhi qismat ka sikandar nikla
qura-e-fal mere nam ka aksar nikla
tha jinhen zoam wo dariya bhi mujhi mein Dube
main ki sahra nazar aata tha samundar nikla
main ne us jaan-e-bahaaran ko bahut yaad kiya
jab koi phul meri shaKH-e-hunar par nikla
shahr-walon ki mohabbat ka main qael hun magar
main ne jis hath ko chuma wahi KHanjar nikla
tu yahin haar gaya hai mere buzdil dushman
mujh se tanha ke muqabil tera lashkar nikla
main ki sahra-e-mohabbat ka musafir tha 'faraaz'
ek jhonka tha ki KHushbu ke safar par nikla
Ghazal
Main to maqtal mein bhi qismat ka sikandar nikla
Ahmad Faraz