اردو हिंदी
Main to lamhat ki sazish ka nishana Thahra | Shaahi Shayari
main to lamhat ki sazish ka nishana Thahra

Ghazal

Main to lamhat ki sazish ka nishana Thahra

Farooq Shamim

;

main to lamhat ki sazish ka nishana Thahra
tu jo Thahra to tere sath zamana Thahra

aane wale kisi mausam se hamein kya lena
dil hi jab dard ki KHushbu ka KHazana Thahra

yaad hai rakh-tale ek sharare ki tarah
ye jo bujh jae hawaon ka bahana Thahra

jhuT sach mein koi pahchan kare bhi kaise
jo haqiqat ka hi meyar fasana Thahra

aks bikhre hue chehron ke hain har samt 'shamim'
dil hamara bhi koi aaina-KHana Thahra