اردو हिंदी
Main teri nigah mein ek chaman tha | Shaahi Shayari
main teri nigah mein ek chaman tha

Ghazal

Main teri nigah mein ek chaman tha

Kalidas Gupta Raza

;

main teri nigah mein ek chaman tha
ye husn-e-nazar tha husn-e-zan tha

pakka tha jo man ka KHasta-tan tha
wo qais kahan tha kohkan tha

maKHmur si ho rahi thin aankhen
rujhan-e-gunah zau-fagan tha

duniya maqtal bani thi aur dil
apne hi KHayal mein magan tha

gham-KHana ho ke rah gaya hai
wo lafz jo mabad-e-suKHan tha

uDta phirta ghubar har-su
ye dasht-e-rawan kabhi chaman tha

kahne ko to mar chuki thi KHwahish
baqi magar us ka bankpan tha

fankar the hum na the kafan-kash
zindon ke liye hamara fan tha

kya ruh damak damak uThi thi
kundan sa KHayal ka badan tha

go honT 'raza' ke sil gae the
KHame ki zaban se naghma-zan tha